sham jo chehre pe lahraate hue rang ki thi
shaam jo chehre pe lahrāte hue rang kī thī
baa'd tere vahī kājal meñ Dhale rang kī thī
na mohabbat kā junūñ thā na koī ḳhvāhish-e-lams
ye sharārat to fazāoñ meñ chhupe rang kī thī
dil se niklī thī koī baat gulābī aabī
lab se phūTī huī sargoshī har ik rang kī thī
kyā sitam thā ki vo aur ham se mohabbat-talabī
baat mushkil thī magar shoḳhī bhare rang kī thī
āsmāñ hadd-e-nazar shīsha-e-mai lagtā thā
shaam bhī sub.h ke rangoñ meñ Dhale rang kī thī
us ke lahje kī damak aur hī mahsūs huī
us kī āñkhoñ meñ chamak aaj na.e rang kī thī
yuuñ to maiñ sah nahīñ saktī thī hinā kī ḳhushbū
par vo shab narm hathelī pe saje rang kī thī
shāḳh-dar-shāḳh baḌī duur talak ham bhī ga.e
haat aa.ī nahīñ titlī bhī hare rang kī thī
bahr aisā ki bahut Duub ga.e dil-zadagāñ
mauj aisī ki har ik lamha na.e rang kī thī
sham jo chehre pe lahraate hue rang ki thi
ba'd tere wahi kajal mein Dhale rang ki thi
na mohabbat ka junun tha na koi KHwahish-e-lams
ye shararat to fazaon mein chhupe rang ki thi
dil se nikli thi koi baat gulabi aabi
lab se phuTi hui sargoshi har ek rang ki thi
kya sitam tha ki wo aur hum se mohabbat-talabi
baat mushkil thi magar shoKHi bhare rang ki thi
aasman hadd-e-nazar shisha-e-mai lagta tha
sham bhi subh ke rangon mein Dhale rang ki thi
us ke lahje ki damak aur hi mahsus hui
us ki aankhon mein chamak aaj nae rang ki thi
yun to main sah nahin sakti thi hina ki KHushbu
par wo shab narm hatheli pe saje rang ki thi
shaKH-dar-shaKH baDi dur talak hum bhi gae
hat aai nahin titli bhi hare rang ki thi
bahr aisa ki bahut Dub gae dil-zadagan
mauj aisi ki har ek lamha nae rang ki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.