sham ka gham bhi jafakar udasi meri
shaam kā ġham bhī jafākār udāsī merī
zaḳhm de jaatī hai har baar udāsī merī
jab bhī hoñToñ ko hañsāyā yahī pūchhā ḳhud se
kyuuñ hai ḳhushiyoñ pe kaḌā baar udāsī merī
mere saa.e se lipaTne ko tarastī rahtī
ban ga.ī merī talabgār udāsī merī
gahre tanhā.ī ke aalam meñ sulā jaatī hai
kitnī ban jaatī hai ḳhūñ-ḳhvār udāsī merī
mere ashkoñ se bahī ban ke lahū dil kā yuuñ
ho kaTīlī koī talvār udāsī merī
'sārthī' luT na kahīñ jaa.e aqad bhī tujh se
mujh se kahtī hai ka.ī baar udāsī merī
sham ka gham bhi jafakar udasi meri
zaKHm de jati hai har bar udasi meri
jab bhi honTon ko hansaya yahi puchha KHud se
kyun hai KHushiyon pe kaDa bar udasi meri
mere sae se lipaTne ko tarasti rahti
ban gai meri talabgar udasi meri
gahre tanhai ke aalam mein sula jati hai
kitni ban jati hai KHun-KHwar udasi meri
mere ashkon se bahi ban ke lahu dil ka yun
ho kaTili koi talwar udasi meri
'sarthi' luT na kahin jae aqad bhi tujh se
mujh se kahti hai kai bar udasi meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.