sham kaisi mere aangan mein utar aai hai
shaam kaisī mire āñgan meñ utar aa.ī hai
yaad hai dil meñ tirī ālam-e-tanhā.ī hai
mujh ko har daaġh pe dil ke ye gumāñ hotā hai
jaise ye daaġh nahīñ lāla-e-sahrā.ī hai
tujh ko maiñ chāhtī huuñ aur mujhe ma.alūm hai ye
raaz khul jaa.e to donoñ hī kī rusvā.ī hai
vo samajhtā hai ġhazal jis ke liye kahtī huuñ
mere ash.ār-e-dil-āvez meñ gahrā.ī hai
sham kaisi mere aangan mein utar aai hai
yaad hai dil mein teri aalam-e-tanhai hai
mujh ko har dagh pe dil ke ye guman hota hai
jaise ye dagh nahin lala-e-sahrai hai
tujh ko main chahti hun aur mujhe malum hai ye
raaz khul jae to donon hi ki ruswai hai
wo samajhta hai ghazal jis ke liye kahti hun
mere ashaar-e-dil-awez mein gahrai hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 63)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.