sham ke bagh mein dil-nashin chahchahe surKH-ru shaKH-saron mein gum ho gae
sham ke bagh mein dil-nashin chahchahe surKH-ru shaKH-saron mein gum ho gae
Mehmood Rashid
MORE BYMehmood Rashid
shaam ke baaġh meñ dil-nashīñ chahchahe surḳh-rū shāḳh-sāroñ meñ gum ho ga.e
chāñd niklā mire dekhte dekhte do parinde chanāroñ meñ gum ho ga.e
chāñdnī khil uThī dasht ḳhāmosh thā kārvāñ mere gītoñ se mad.hosh thā
ret ke mausamoñ ne pukārā magar sārbāñ lāla-zāroñ maiñ gum ho ga.e
aag dekhī jazīre pe jaltī huī ziist jaagī kahīñ aañkh maltī huī
tez lahroñ pe kashtī machalne lagī aur musāfir sharāroñ maiñ gum ho ga.e
ek lashkar havā kā dikhā.ī diyā sūkhī shāḳhoñ kā nauha sunā.ī diyā
zard peḌoñ se patte bichhaḌte hue mātamī rahguzāroñ meñ gum ho ga.e
hijr kī vādiyoñ se guzarte hue shāhzāde ne dekhā ThiThurte hue
us parī kī judā.ī meñ kohsār bhī dūdhiyā barf-zāroñ meñ gum ho ga.e
yuuñ kināroñ kā manzar badalne lagā ḳhema-e-ḳhvāb tezī se jalne lagā
niiñd kī ābjūoñ meñ bahte hue do diye ābshāroñ meñ gum ho ga.e
zard āñkhoñ ke jangal meñ āzār thā barg-e-dil raushnī kā talab-gār thā
be-karāñ tīrgī meñ phisalte hue mere aañsū sitāroñ meñ gum ho ga.e
sham ke bagh mein dil-nashin chahchahe surKH-ru shaKH-saron mein gum ho gae
chand nikla mere dekhte dekhte do parinde chanaron mein gum ho gae
chandni khil uThi dasht KHamosh tha karwan mere giton se madhosh tha
ret ke mausamon ne pukara magar sarban lala-zaron main gum ho gae
aag dekhi jazire pe jalti hui zist jagi kahin aankh malti hui
tez lahron pe kashti machalne lagi aur musafir shararon main gum ho gae
ek lashkar hawa ka dikhai diya sukhi shaKHon ka nauha sunai diya
zard peDon se patte bichhaDte hue matami rahguzaron mein gum ho gae
hijr ki wadiyon se guzarte hue shahzade ne dekha ThiThurte hue
us pari ki judai mein kohsar bhi dudhiya barf-zaron mein gum ho gae
yun kinaron ka manzar badalne laga KHema-e-KHwab tezi se jalne laga
nind ki aabjuon mein bahte hue do diye aabshaaron mein gum ho gae
zard aankhon ke jangal mein aazar tha barg-e-dil raushni ka talab-gar tha
be-karan tirgi mein phisalte hue mere aansu sitaron mein gum ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.