sham ke dhundalkon mein subh ke ujalon mein
shaam ke dhuñdalkoñ meñ sub.h ke ujāloñ meñ
zindagānī uljhī hai anginat savāloñ meñ
sun hī jab nahīñ paa.e ham sadā-e-dil apnī
kyā milegā masjid meñ kyā mile shivāloñ meñ
jaise raat dhartī par jaise rang paanī meñ
chhā ga.e haiñ ḳhvāboñ par bas ga.e ḳhayāloñ meñ
sīm-o-zar ke dīvāno jām-e-jam ke matavālo
pī ke bhī zarā dekho in shikasta pyāloñ meñ
'umr 'naġhmī' guzrī hai bas ye aarzū karte
kaash ham-safar hotā maiñ madīne vāloñ meñ
sham ke dhundalkon mein subh ke ujalon mein
zindagani uljhi hai anginat sawalon mein
sun hi jab nahin pae hum sada-e-dil apni
kya milega masjid mein kya mile shiwalon mein
jaise raat dharti par jaise rang pani mein
chha gae hain KHwabon par bas gae KHayalon mein
sim-o-zar ke diwano jam-e-jam ke matawalo
pi ke bhi zara dekho in shikasta pyalon mein
'umr 'naghmi' guzri hai bas ye aarzu karte
kash ham-safar hota main madine walon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.