sham ke shoale se kya shamen farozan ho gain
shaam ke sho.ale se kyā sham.eñ farozāñ ho ga.iiñ
ḳhvāb sī parchhā.iyāñ bhī jaise insāñ ho ga.iiñ
dard kī fasleñ harī rut ko tarastī hī rahīñ
ab ke shāyad be-asar āñkhoñ kī jhaḌiyāñ ho ga.iiñ
vaqt kī reg-e-ravāñ meñ gum hue kitne sarāb
dil ko is andhe safar par nikle sadiyāñ ho ga.iiñ
vo nahīñ to sab ne gahrī chup kī chādar oḌh lī
shahr kī hañstī guzar-gāheñ bhī vīrāñ ho ga.iiñ
chāñd āñkhoñ meñ utar kar kuchh ajab dukh de gayā
suunī rāteñ merī tanhā.ī kī pahchāñ ho ga.iiñ
soch kī rau zehn ke shīshe meñ Dhalte hī 'nasīm'
kitnī tasvīreñ thiiñ jo kāġhaz par uryāñ ho ga.iiñ
sham ke shoale se kya shamen farozan ho gain
KHwab si parchhaiyan bhi jaise insan ho gain
dard ki faslen hari rut ko tarasti hi rahin
ab ke shayad be-asar aankhon ki jhaDiyan ho gain
waqt ki reg-e-rawan mein gum hue kitne sarab
dil ko is andhe safar par nikle sadiyan ho gain
wo nahin to sab ne gahri chup ki chadar oDh li
shahr ki hansti guzar-gahen bhi viran ho gain
chand aankhon mein utar kar kuchh ajab dukh de gaya
suni raaten meri tanhai ki pahchan ho gain
soch ki rau zehn ke shishe mein Dhalte hi 'nasim'
kitni taswiren thin jo kaghaz par uryan ho gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.