sham ke waqt charaghon si jalai hui main
shaam ke vaqt charāġhoñ sī jalā.ī huī maiñ
ghup añdheroñ kī muñDeroñ pe sajā.ī huī maiñ
dekhne vāloñ kī nazroñ ko lagūñ saada varaq
terī tahrīr meñ huuñ aise chhupā.ī huī maiñ
ḳhaak kar ke mujhe sahrā meñ uḌāne vaale
dekh raqsāñ huuñ sar-e-dasht uḌaa.ī huī maiñ
kyā añdheroñ kī hifāzat ke liye rakkhī huuñ
apnī dahlīz pe ḳhud aap jalā.ī huī maiñ
log afsāna samajh kar mujhe sunte hī rahe
dar-haqīqat huuñ haqīqat se banā.ī huī maiñ
merī āñkhoñ meñ samāyā huā koī chehra
aur us chehre kī āñkhoñ meñ samā.ī huī maiñ
kitnī hairān hai duniyā ki muqaddar kī nahīñ
apnī tadbīr ke hāthoñ huuñ banā.ī huī maiñ
mere andāz pe tā-der 'alīnā' vo hañsā
zikr meñ us ke thī yuuñ ḳhud ko bhulā.ī huī maiñ
sham ke waqt charaghon si jalai hui main
ghup andheron ki munDeron pe sajai hui main
dekhne walon ki nazron ko lagun sada waraq
teri tahrir mein hun aise chhupai hui main
KHak kar ke mujhe sahra mein uDane wale
dekh raqsan hun sar-e-dasht uDai hui main
kya andheron ki hifazat ke liye rakkhi hun
apni dahliz pe KHud aap jalai hui main
log afsana samajh kar mujhe sunte hi rahe
dar-haqiqat hun haqiqat se banai hui main
meri aankhon mein samaya hua koi chehra
aur us chehre ki aankhon mein samai hui main
kitni hairan hai duniya ki muqaddar ki nahin
apni tadbir ke hathon hun banai hui main
mere andaz pe ta-der 'alina' wo hansa
zikr mein us ke thi yun KHud ko bhulai hui main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.