sham Khaali hai aur sahar Khaali
shaam ḳhālī hai aur sahar ḳhālī
shahr hai yā koī khañDar ḳhālī
saañp qābiz haiñ har ḳhazāne par
aadmī sab haiñ dar-ba-dar ḳhālī
aa.iye ḳhair ham talāsh kareñ
phailtā jā rahā hai shar ḳhālī
ro.ab mafqūd hai sadāoñ meñ
shān-e-dastār se hai sar ḳhālī
ai asīr-e-qunūtiyat shā.ir
apnā naqd-o-nazar se bhar ḳhālī
ibrat-āmoz hai girāñ-ḳhvābī
abhī katre ga.e haiñ par ḳhālī
hashr uThegā anqarīb yahāñ
hai bas ik aañch kī kasar ḳhālī
bas koī mo'atabar masīhā ho
dil meñ baiThā huā hai Dar ḳhālī
ham uḌāte haiñ fāḳhta din bhar
sher kahte haiñ raat bhar ḳhālī
meñDkī ko zukām ho gayā hai
garche fitna hai us kī Tar ḳhālī
qabr meñ kuchh sukūn thā pahle
haal kahtā hai ye bhī kar ḳhālī
ham na behosh hoñ to kahiyegā
dekh leñ aap ik nazar ḳhālī
phir laq-o-daq hai 'sarfarāz' kā dil
misl-e-sahrā-e-be-zarar ḳhālī
sham KHali hai aur sahar KHali
shahr hai ya koi khanDar KHali
sanp qabiz hain har KHazane par
aadmi sab hain dar-ba-dar KHali
aaiye KHair hum talash karen
phailta ja raha hai shar KHali
roab mafqud hai sadaon mein
shan-e-dastar se hai sar KHali
ai asir-e-qunutiyat shair
apna naqd-o-nazar se bhar KHali
ibrat-amoz hai giran-KHwabi
abhi katre gae hain par KHali
hashr uThega anqarib yahan
hai bas ek aanch ki kasar KHali
bas koi mo'atabar masiha ho
dil mein baiTha hua hai Dar KHali
hum uDate hain faKHta din bhar
sher kahte hain raat bhar KHali
meinDki ko zukaam ho gaya hai
garche fitna hai us ki Tar KHali
qabr mein kuchh sukun tha pahle
haal kahta hai ye bhi kar KHali
hum na behosh hon to kahiyega
dekh len aap ek nazar KHali
phir laq-o-daq hai 'sarfaraaz' ka dil
misl-e-sahra-e-be-zarar KHali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.