Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham ki shaKH-e-shikasta barqarar-e-naghma hai

Yasir Iqbal

sham ki shaKH-e-shikasta barqarar-e-naghma hai

Yasir Iqbal

MORE BYYasir Iqbal

    shaam shāḳh-e-shikasta barqarār-e-naġhma hai

    matla-e-ḳhāmosh se utrī qatār-e-naġhma hai

    rang sīñchā kisī ne sur bikherā chaar

    parda-e-pardāz par naqsh-o-nigār-e-naġhma hai

    ābshār-e-ḳhāmushī hai kohsāroñ se udhar

    ḳhāksāroñ ke yahāñ jo intizār-e-naġhma hai

    thartharātī sarsarātī sansanātī sā'ato

    tham raho is rāste par shahsavār-e-naġhma hai

    rang raag pahchāniyo ye baaġh

    ke 'ālam meñ yahī parvardigār-e-naġhma hai

    shash-jihat ke is chhatāre se kashākash sahī

    kahne ko in ungliyoñ ko iḳhtiyār-e-naġhma hai

    bujhne vaale ab bujheñge larzish-e-mastāna se

    yā'nī in afsurdagāñ ko e'tibār-e-naġhma hai

    sham ki shaKH-e-shikasta barqarar-e-naghma hai

    matla-e-KHamosh se utri qatar-e-naghma hai

    rang sincha ya kisi ne sur bikhera chaar su

    parda-e-pardaz par naqsh-o-nigar-e-naghma hai

    aabshaar-e-KHamushi hai kohsaron se udhar

    KHaksaron ke yahan jo intizar-e-naghma hai

    thartharaati sarsaraati sansanati sa'ato

    tham raho is raste par shahsawar-e-naghma hai

    rang sa ya rag sa pahchaniyo ye bagh sa

    hu ke 'alam mein yahi parwardigar-e-naghma hai

    shash-jihat ke is chhatare se kashakash hi sahi

    kahne ko in ungliyon ko iKHtiyar-e-naghma hai

    bujhne wale ab bujhenge larzish-e-mastana se

    ya'ni in afsurdagan ko e'tibar-e-naghma hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now