sham ko par kiya shab se nikal kar aae
shaam ko paar kiyā shab se nikal kar aa.e
tab kahīñ jā ke tire qad ke barābar aa.e
sang-e-dushnām to barsā kiye mujh par lekin
merī tasvīr jo TuuTe to vo lashkar aa.e
ik ajab shor huā dard uThā dil sahmā
dushman-e-jān mirī jaañ se nikal kar aa.e
chāñdnī raat meñ saa.e to bahut nikle the
chāñdnī raat zarā aur chamak kar aa.e
kitne ausāf mirī jaan se behtar Thahre
kitne armān tire ġham ke barābar aa.e
chāñd kitne tirī yādoñ ke safar meñ nikle
phuul milne tujhe sahrā se nikal kar aa.e
ḳhvāb kitne tirī chāhat ke tah-e-āb hue
chaah meñ terī hī āñkhoñ meñ samundar aa.e
koī aahaT tire qadmoñ ke fusūñ ko toḌe
rang koī tirī rangat ke barābar aa.e
aañkh jhapko to yahāñ hotī haiñ āñkheñ ḳhālī
dil ke sahrā meñ koī soch-samajh kar aa.e
mujh ko detā rahā har shaḳhs yahāñ dars-e-junūñ
lekin ilzām faqat mere suḳhan par aa.e
koī 'ajmal' sā yahāñ aaya hai ai shām-e-firāq
kitne shā.ir yahāñ aa.e haiñ suḳhanvar aa.e
sham ko par kiya shab se nikal kar aae
tab kahin ja ke tere qad ke barabar aae
sang-e-dushnam to barsa kiye mujh par lekin
meri taswir jo TuTe to wo lashkar aae
ek ajab shor hua dard uTha dil sahma
dushman-e-jaan meri jaan se nikal kar aae
chandni raat mein sae to bahut nikle the
chandni raat zara aur chamak kar aae
kitne ausaf meri jaan se behtar Thahre
kitne arman tere gham ke barabar aae
chand kitne teri yaadon ke safar mein nikle
phul milne tujhe sahra se nikal kar aae
KHwab kitne teri chahat ke tah-e-ab hue
chah mein teri hi aankhon mein samundar aae
koi aahaT tere qadmon ke fusun ko toDe
rang koi teri rangat ke barabar aae
aankh jhapko to yahan hoti hain aankhen KHali
dil ke sahra mein koi soch-samajh kar aae
mujh ko deta raha har shaKHs yahan dars-e-junun
lekin ilzam faqat mere suKHan par aae
koi 'ajmal' sa yahan aaya hai ai sham-e-firaq
kitne shair yahan aae hain suKHanwar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.