sham ko usne meri KHatir sajna chhoD diya
shaam ko us ne merī ḳhātir sajnā chhoḌ diyā
maiñ ne bhī daftar se jaldī aanā chhoḌ diyā
kab tak us ke hijr meñ āñkheñ rotīñ āḳhir ko
dariyā ne bhī apne ruḳh par bahnā chhoḌ diyā
pahle pahle ham ne kahnā sunñā chhoḌā thā
hote hote ham ne bāteñ karnā chhoḌ diyā
us ne ḳhvāb meñ aane kī ummīd bañdhā.ī hai
hijr kī shab ko maiñ ne taare ginnā chhoḌ diyā
jab se apne dil ke us ne zaḳhm dikhā.e haiñ
maiñ ne bhī monis se bāteñ karnā chhoḌ diyā
sham ko us ne meri KHatir sajna chhoD diya
main ne bhi daftar se jaldi aana chhoD diya
kab tak us ke hijr mein aankhen rotin aaKHir ko
dariya ne bhi apne ruKH par bahna chhoD diya
pahle pahle hum ne kahna sunna chhoDa tha
hote hote hum ne baaten karna chhoD diya
us ne KHwab mein aane ki ummid bandhai hai
hijr ki shab ko main ne tare ginna chhoD diya
jab se apne dil ke us ne zaKHm dikhae hain
main ne bhi monis se baaten karna chhoD diya
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 489)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.