sham ne dhire dhire dar khole
shaam ne dhīre dhīre dar khole
raat utar aa.ī bāl-o-par khole
shahr kā shahr ġham meñ Duub gayā
kaun aise meñ bām-o-dar khole
dil ke ujḌe hue jazīre meñ
aas baiThī hai apne par khole
gard uḌtī ho jab kudūrat kī
kaun bāb-e-dil-o-nazar khole
chāñdnī raat ne kiyā jaadū
yaad ke aaj saare dar khole
husn se apne be-ḳhabar titlī
rang bikhrā.e jab bhī par khole
sham ne dhire dhire dar khole
raat utar aai baal-o-par khole
shahr ka shahr gham mein Dub gaya
kaun aise mein baam-o-dar khole
dil ke ujDe hue jazire mein
aas baiThi hai apne par khole
gard uDti ho jab kudurat ki
kaun bab-e-dil-o-nazar khole
chandni raat ne kiya jadu
yaad ke aaj sare dar khole
husn se apne be-KHabar titli
rang bikhrae jab bhi par khole
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.