sham-o-sahar har ek ghaDi is ka KHayal to na kar
shām-o-sahar har ik ghaḌī is kā ḳhayāl to na kar
apnī hayāt-e-muḳhtasar vaqf-e-malāl to na kar
zaḳhm ke indimāl ko us kī razā pe chhoḌ de
marham-e-lutf ke liye us se savāl na kar
kār-gah-e-hayāt meñ sabr-o-sukūñ se kaam le
jo tujhe mil nahīñ sakā us kā malāl to na kar
ġham kī har ek dāstāñ shauq se kar bayāñ magar
hijr ke māh-o-sāl meñ zikr-e-visāl to na kar
apne kamāl-e-shauq kā kar na kisī se tazkira
ġhair ko ġhair hī samajh vāqif-e-hāl to na kar
us se vafā talab na kar vo to jafā-pasand hai
apnā dayār-e-shauq meñ jiinā muhāl to na kar
sham-o-sahar har ek ghaDi is ka KHayal to na kar
apni hayat-e-muKHtasar waqf-e-malal to na kar
zaKHm ke indimal ko us ki raza pe chhoD de
marham-e-lutf ke liye us se sawal na kar
kar-gah-e-hayat mein sabr-o-sukun se kaam le
jo tujhe mil nahin saka us ka malal to na kar
gham ki har ek dastan shauq se kar bayan magar
hijr ke mah-o-sal mein zikr-e-visal to na kar
apne kamal-e-shauq ka kar na kisi se tazkira
ghair ko ghair hi samajh waqif-e-haal to na kar
us se wafa talab na kar wo to jafa-pasand hai
apna dayar-e-shauq mein jina muhaal to na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.