sham pariyon se bhari thi raat chup hai jhil ki
shaam pariyoñ se bharī thī raat chup hai jhiil kī
gung kartī hai zabānoñ ko du'ā takmīl kī
naam chamkā mere dil meñ sūra-e-rahmān kā
puurī sūrat sub.h-e-ḳhush-hangām ne tartīl kī
jaise kī mausūl āġhāz-e-mohabbat kī du'ā
ham ne agloñ tak vo rahmat kī havā tarsīl kī
vāqi'a aisā na thā jaise kiyā ham ne bayān
ruup se behtar kahīñ us ruup kī tafsīl kī
ab yahāñ aa kar nahīñ mā'lūm hotā rah-guzar
chhoḌ dī thī kis jagah par kis jagah tabdīl kī
'uzr jo bhī thā mafar karnā gavārā hī na thā
hukm jis kā bhī thā tere naam par tā'mīl kī
is ġhubār-e-dahr se us ne uThāyā rāsta
ye ḳhayāl-afroz mujh par shā'irī tafsīl kī
ai jahān-e-misr ye nairangiyoñ kā vaqt hai
ai zuleḳhā ḳhush-ḳhabar ai mauj āb-e-nīl kī
baaz aise to nahīñ aa kar utartā haath par
ratjage kaaTe ka.ī to ḳhvāb kī tashkīl kī
sham pariyon se bhari thi raat chup hai jhil ki
gung karti hai zabanon ko du'a takmil ki
nam chamka mere dil mein sura-e-rahman ka
puri surat subh-e-KHush-hangam ne tartil ki
jaise ki mausul aaghaz-e-mohabbat ki du'a
hum ne aglon tak wo rahmat ki hawa tarsil ki
waqi'a aisa na tha jaise kiya hum ne bayan
rup se behtar kahin us rup ki tafsil ki
ab yahan aa kar nahin ma'lum hota rah-guzar
chhoD di thi kis jagah par kis jagah tabdil ki
'uzr jo bhi tha mafar karna gawara hi na tha
hukm jis ka bhi tha tere nam par ta'mil ki
is ghubar-e-dahr se us ne uThaya rasta
ye KHayal-afroz mujh par sha'iri tafsil ki
ai jahan-e-misr ye nairangiyon ka waqt hai
ai zuleKHa KHush-KHabar ai mauj aab-e-nil ki
baz aise to nahin aa kar utarta hath par
ratjage kaTe kai to KHwab ki tashkil ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.