sham se tanha khaDa hun yas ka paikar hun main
shaam se tanhā khaḌā huuñ yaas kā paikar huuñ maiñ
ajnabī huuñ aur fasīl-e-shahr se bāhar huuñ maiñ
tū to aayā hai yahāñ par qahqahoñ ke vāste
dekhne vaale baḌā ġhamgīn sā manzar huuñ maiñ
maiñ bachā lūñgā tujhe duniyā ke sard-o-garm se
Dhāñp le mujh se badan apnā tirī chādar huuñ maiñ
ab to milte haiñ havā se bhī dar-o-dīvār-e-jism
bāsiyo mujh se nikal jaao shikasta-ghar huuñ maiñ
maiñ tumheñ uḌte hue dekhūñgā mere sāthiyo
maiñ tumhārā saath kaise duuñ shikasta-par huuñ maiñ
mere hone kā pata le lo dar-o-dīvār se
kah rahā hai ghar kā sannāTā abhī andar huuñ maiñ
kaun degā ab yahāñ se terī dastak kā javāb
kis liye mujh ko sadā detā hai ḳhālī ghar huuñ maiñ
sham se tanha khaDa hun yas ka paikar hun main
ajnabi hun aur fasil-e-shahr se bahar hun main
tu to aaya hai yahan par qahqahon ke waste
dekhne wale baDa ghamgin sa manzar hun main
main bacha lunga tujhe duniya ke sard-o-garm se
Dhanp le mujh se badan apna teri chadar hun main
ab to milte hain hawa se bhi dar-o-diwar-e-jism
basiyo mujh se nikal jao shikasta-ghar hun main
main tumhein uDte hue dekhunga mere sathiyo
main tumhaara sath kaise dun shikasta-par hun main
mere hone ka pata le lo dar-o-diwar se
kah raha hai ghar ka sannaTa abhi andar hun main
kaun dega ab yahan se teri dastak ka jawab
kis liye mujh ko sada deta hai KHali ghar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.