sham tak aisa thakan se chur ho jata hun main
shaam tak aisā thakan se chuur ho jaatā huuñ maiñ
jism se bānu-e-shab kāfūr ho jaatā huuñ maiñ
tere jalvoñ se kabhī jab duur ho jaatā huuñ maiñ
apnī āñkhoñ ke liye be-nūr ho jaatā huuñ maiñ
log ho jaate haiñ vāmiq log ho jaate haiñ qais
intihā-e-ishq meñ mansūr ho jaatā huuñ maiñ
chāhtā to huuñ karūñ ḳhalq-e-jahāñ par ġhaur-o-ḳhauz
dar-guzar ai rabb-e-kul mas.hūr ho jaatā huuñ maiñ
jab bhī suntā huuñ zabān-e-ġhair se apnī sifāt
sach kahūñ thoḌā bahut maġhrūr ho jaatā huuñ maiñ
merī āñkheñ kar rahī hotī haiñ jab dīdār-e-yār
apne paikar meñ sarāpā tuur ho jaatā huuñ maiñ
shahr meñ sāhib banā phirtā huuñ kis kis rang se
gaañv jā kar phir vahī mazdūr ho jaatā huuñ maiñ
mil hī jaatī hai hisār-e-dard se mujh ko najāt
phir hisār-e-dard meñ mahsūr ho jaatā huuñ maiñ
aadmī 'aḳhlāq' maiñ achchhā huuñ is meñ shak nahīñ
haañ kabhī hālāt se majbūr ho jaatā huuñ maiñ
sham tak aisa thakan se chur ho jata hun main
jism se banu-e-shab kafur ho jata hun main
tere jalwon se kabhi jab dur ho jata hun main
apni aankhon ke liye be-nur ho jata hun main
log ho jate hain wamiq log ho jate hain qais
intiha-e-ishq mein mansur ho jata hun main
chahta to hun karun KHalq-e-jahan par ghaur-o-KHauz
dar-guzar ai rabb-e-kul mashur ho jata hun main
jab bhi sunta hun zaban-e-ghair se apni sifat
sach kahun thoDa bahut maghrur ho jata hun main
meri aankhen kar rahi hoti hain jab didar-e-yar
apne paikar mein sarapa tur ho jata hun main
shahr mein sahib bana phirta hun kis kis rang se
ganw ja kar phir wahi mazdur ho jata hun main
mil hi jati hai hisar-e-dard se mujh ko najat
phir hisar-e-dard mein mahsur ho jata hun main
aadmi 'aKHlaq' main achchha hun is mein shak nahin
han kabhi haalat se majbur ho jata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.