sham thi mast albeli aur kaif-za
shaam thī mast albelī aur kaif-zā
mere man kā parinda thā par toltā
terī yādoñ ne kab mujh ko jiine diyā
ek nishtar mire dil meñ chubhtā rahā
ik nasha sā havāoñ meñ thā phailtā
madh-bharī aañkh meñ ek sangīt thā
mere pur-dard naġhmoñ meñ vo soz thā
nit-nayā rang har-sū nikhartā gayā
kitne hī chāñd taare chamakte rahe
raushnī ko magar maiñ tarastā rahā
kis qadar shoḳh tasvīr thī zindagī
nit-na.e rang kaun is meñ bhartā gayā
raushnī raushnī baT ga.ī har taraf
tere chehre se parda jo haTtā gayā
sham thi mast albeli aur kaif-za
mere man ka parinda tha par tolta
teri yaadon ne kab mujh ko jine diya
ek nishtar mere dil mein chubhta raha
ek nasha sa hawaon mein tha phailta
madh-bhari aankh mein ek sangit tha
mere pur-dard naghmon mein wo soz tha
nit-naya rang har-su nikharta gaya
kitne hi chand tare chamakte rahe
raushni ko magar main tarasta raha
kis qadar shoKH taswir thi zindagi
nit-nae rang kaun is mein bharta gaya
raushni raushni baT gai har taraf
tere chehre se parda jo haTta gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.