shamil-e-karwan na tha rahguzar tha ajab
shāmil-e-kārvāñ na thā rāhguzār thā ajab
raah meñ bhī ġhubār thā sar pe baar thā ajab
pesh-e-nazar khaḌī rahī manzil-e-justujū magar
haath meñ bhī sakat na thī paañv meñ ḳhaar thā ajab
haar jo dūsroñ ke the saañp kī misl to na the
tum ne mire gale meñ jo Daalā vo haar thā ajab
mere laboñ pe dahr kā shikva jo thā fuzūl thā
chūñki darūn-e-dil mujhe dair se pyaar thā ajab
tūl-e-shab-e-firāq sī donoñ kī umr-e-dostī
'jāmid'-e-zinda-tab-e-rasā us kā bhī yaar thā ajab
shamil-e-karwan na tha rahguzar tha ajab
rah mein bhi ghubar tha sar pe bar tha ajab
pesh-e-nazar khaDi rahi manzil-e-justuju magar
hath mein bhi sakat na thi panw mein KHar tha ajab
haar jo dusron ke the sanp ki misl to na the
tum ne mere gale mein jo Dala wo haar tha ajab
mere labon pe dahr ka shikwa jo tha fuzul tha
chunki darun-e-dil mujhe dair se pyar tha ajab
tul-e-shab-e-firaq si donon ki umr-e-dosti
'jamid'-e-zinda-tab-e-rasa us ka bhi yar tha ajab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.