shamil mere wujud mein hai bud-o-bash mein
shāmil mire vujūd meñ hai būd-o-bāsh meñ
maiñ duur tak na jā.uñgā us kī talāsh meñ
maġhrūr koī hogā sanam husn par magar
ḳhūbī to hai nigāh meñ kuchh but-tarāsh meñ
kaaTā to apne daañt se ik aadmī ne thā
sāñpoñ kā zahr kaise milā merī laash meñ
husn-o-shabāb shān-e-ḳhudā-dād bāñkpan
ik ek kar ke luT ga.e fikr-e-ma'āsh meñ
tārīḳh meñ abhī bhī tumhī jāñ-nisār ho
tabdīl kaise ho ga.e tum zinda laash meñ
fitrat meñ ho fareb to chehre se har koī
bahrūpiyā sā lagtā hai apne qimāsh meñ
vo chaal kyā chalegā na.ī jānte haiñ sab
bāvan hī patte aaj bhī hote haiñ taash meñ
'gauhar' tumhāre lafz aTakne lage haiñ kyoñ
kuchh baat hai zarūr gale kī ḳharāsh meñ
shamil mere wujud mein hai bud-o-bash mein
main dur tak na jaunga us ki talash mein
maghrur koi hoga sanam husn par magar
KHubi to hai nigah mein kuchh but-tarash mein
kaTa to apne dant se ek aadmi ne tha
sanpon ka zahr kaise mila meri lash mein
husn-o-shabab shan-e-KHuda-dad bankpan
ek ek kar ke luT gae fikr-e-ma'ash mein
tariKH mein abhi bhi tumhi jaan-nisar ho
tabdil kaise ho gae tum zinda lash mein
fitrat mein ho fareb to chehre se har koi
bahrupiya sa lagta hai apne qimash mein
wo chaal kya chalega nai jaante hain sab
bawan hi patte aaj bhi hote hain tash mein
'gauhar' tumhaare lafz aTakne lage hain kyon
kuchh baat hai zarur gale ki KHarash mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.