shana to chhuTa zulf-e-pareshan se ulajh kar
shāna to chhuTā zulf-e-pareshāñ se ulajh kar
suljhā na ye dil kākul-e-pechāñ se ulajh kar
letā hai ḳhabar kaun asīrān-e-balā kī
mar mar ga.e tārīkī-e-zindāñ se ulajh kar
zoroñ pe chaḌhā hai ye mirā panja-e-vahshat
dāman se ulajhtā hai garebāñ se ulajh kar
dīvāne ḳhat-o-zulf ke saude kī lahar meñ
kyā kyā na bake sumbul-o-raihāñ se ulajh kar
āsār-e-qayāmat kahīñ jaldī ho numāyāñ
ghabrā.e hai jī ab shab-e-hijrāñ se ulajh kar
Dartā huuñ kahīñ taab nazākat se na khāve
mū-e-kamar us zulf-e-pareshāñ se ulajh kar
sau pech meñ aayā hai hamārā dil-e-sad-chāk
shāna kī tarah kākul-e-pechāñ se ulajh kar
girdāb-e-balā meñ dil-e-āshiq ko phañsāyā
baalī ne tirī zulf-e-pareshāñ se ulajh kar
tai kar ga.e sab kāba-e-maqsūd kī manzil
ik rah ga.e ham naḳhl-e-muġhīlāñ se ulajh kar
dauḌā huā jaatā hai raqīb us kī galī ko
yārab ye gire raste meñ dāmāñ se ulajh kar
jazb-e-dil-e-majnūñ ne kiyā kaam jo apnā
naaqa na rukā ḳhār-e-bayābāñ se ulajh kar
yārab maiñ use dekhūñ agar dīda-e-bad se
rah jaa.e nazar panja-e-mizhgāñ se ulajh kar
ai tīr-fagan bas hai yahī mujh ko tamannā
chhūTe na rag-e-jāñ tire paikāñ se ulajh kar
mat bahs raqībān-e-kaj-andesh se 'ġhāfil'
be-qadr na ho aise safīhāñ se ulajh kar
shana to chhuTa zulf-e-pareshan se ulajh kar
suljha na ye dil kakul-e-pechan se ulajh kar
leta hai KHabar kaun asiran-e-bala ki
mar mar gae tariki-e-zindan se ulajh kar
zoron pe chaDha hai ye mera panja-e-wahshat
daman se ulajhta hai gareban se ulajh kar
diwane KHat-o-zulf ke saude ki lahar mein
kya kya na bake sumbul-o-raihan se ulajh kar
aasar-e-qayamat kahin jaldi ho numayan
ghabrae hai ji ab shab-e-hijran se ulajh kar
Darta hun kahin tab nazakat se na khawe
mu-e-kamar us zulf-e-pareshan se ulajh kar
sau pech mein aaya hai hamara dil-e-sad-chaak
shana ki tarah kakul-e-pechan se ulajh kar
girdab-e-bala mein dil-e-ashiq ko phansaya
baali ne teri zulf-e-pareshan se ulajh kar
tai kar gae sab kaba-e-maqsud ki manzil
ek rah gae hum naKHl-e-mughilan se ulajh kar
dauDa hua jata hai raqib us ki gali ko
yarab ye gire raste mein daman se ulajh kar
jazb-e-dil-e-majnun ne kiya kaam jo apna
naqa na ruka KHar-e-bayaban se ulajh kar
yarab main use dekhun agar dida-e-bad se
rah jae nazar panja-e-mizhgan se ulajh kar
ai tir-fagan bas hai yahi mujh ko tamanna
chhuTe na rag-e-jaan tere paikan se ulajh kar
mat bahs raqiban-e-kaj-andesh se 'ghafil'
be-qadr na ho aise safihan se ulajh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.