shanon pe na zulfen bikhrao dekho ye shararat Thik nahin
shanon pe na zulfen bikhrao dekho ye shararat Thik nahin
Deedar Bastawi
MORE BYDeedar Bastawi
shānoñ pe na zulfeñ bikhrāo dekho ye sharārat Thiik nahīñ
is roz qayāmat se pahle ik aur qayāmat Thiik nahīñ
ruḳh se na haTāo parde ko ye chāñd chhupā hī rahne do
jal jaa.e na saarā husn kahīñ sūraj kī tamāzat Thiik nahīñ
ai husn kī malika hosh meñ aa ye pyaar vafā sab rahne de
ham ḳhāna-ba-doshoñ kī ḳhātir mahloñ se baġhāvat Thiik nahīñ
ho jaa.eñ na TukḌe TukḌe sab āñkhoñ ke sunahre ḳhvāb tire
patthar kī havelī ke aage shīshe kī imārat Thiik nahīñ
ab maan bhī jā ai dil mere us phuul kī ḳhvāhish chhoḌ bhī de
jo phuul chaman kī zīnat ho us phuul kī hasrat Thiik nahīñ
jab jalte patangoñ ko dekhā 'dīdār' to ye ma.alūm huā
āġhāz-e-mohabbat Thiik to hai anjām-e-mohabbat Thiik nahīñ
shanon pe na zulfen bikhrao dekho ye shararat Thik nahin
is roz qayamat se pahle ek aur qayamat Thik nahin
ruKH se na haTao parde ko ye chand chhupa hi rahne do
jal jae na sara husn kahin suraj ki tamazat Thik nahin
ai husn ki malika hosh mein aa ye pyar wafa sab rahne de
hum KHana-ba-doshon ki KHatir mahlon se baghawat Thik nahin
ho jaen na TukDe TukDe sab aankhon ke sunahre KHwab tere
patthar ki haweli ke aage shishe ki imarat Thik nahin
ab man bhi ja ai dil mere us phul ki KHwahish chhoD bhi de
jo phul chaman ki zinat ho us phul ki hasrat Thik nahin
jab jalte patangon ko dekha 'didar' to ye malum hua
aaghaz-e-mohabbat Thik to hai anjam-e-mohabbat Thik nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.