shanti ki dukanen kholi hain
shāntī kī dukāneñ kholī haiñ
fāḳhtā.eñ kahāñ kī bholī haiñ
kaisī chup saadh lī hai kavvoñ ne
jaise bas koyaleñ hī bolī haiñ
raat bhar ab ūdham machā.eñge
ḳhvāhisheñ din meñ ḳhuub so lī haiñ
chal paḌe haiñ kaTe-phaTe jazbe
hasrateñ saath saath ho lī haiñ
kaun qātil hai kyā pata chaltā
sab ne apnī qabā.eñ dho lī haiñ
sher hote nahīñ to 'alvī' ne
ḳhuun meñ uñgliyāñ Dubo lī haiñ
shanti ki dukanen kholi hain
faKHtaen kahan ki bholi hain
kaisi chup sadh li hai kawwon ne
jaise bas koyalen hi boli hain
raat bhar ab udham machaenge
KHwahishen din mein KHub so li hain
chal paDe hain kaTe-phaTe jazbe
hasraten sath sath ho li hain
kaun qatil hai kya pata chalta
sab ne apni qabaen dho li hain
sher hote nahin to 'alwi' ne
KHun mein ungliyan Dubo li hain
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 61)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.