shayad ab rudad-e-hunar mein aise bab likhe jaenge
shayad ab rudad-e-hunar mein aise bab likhe jaenge
Razi Akhtar Shauq
MORE BYRazi Akhtar Shauq
shāyad ab rūdād-e-hunar meñ aise baab likhe jā.eñge
sāmne dariyā bahtā hogā log sarāb likhe jā.eñge
aaj to ḳhair añdherī rāteñ aur azaab likhe jā.eñge
ik din apnī galiyoñ meñ bhī kuchh mahtāb likhe jā.eñge
palkeñ yūñhī phuul chuneñgī āñkheñ yūñhī rañg baneñgī
dast-e-duā se dīda-e-nam tak ḳhvāb hī ḳhvāb likhe jā.eñge
nādim āñkheñ soch rahī haiñ kal tārīḳh savāl karegī
itnā qaht-e-mohabbat kyuuñ thā kyā asbāb likhe jā.eñge
yūñhī lahū-luhān nahīñ ham, tum bhī chalo is raah ko dekho
jo kāñTe qadmoñ meñ chubheñge saare gulāb likhe jā.eñge
kabhī kabhī ye dhyān aatā hai apne ba.ad bhī duniyā hogī
lekin kaisī duniyā hogī kaun se baab likhe jā.eñge
roz-e-azal dīvār pe merī bārish ke harfoñ se likhā thā
tere naam likhe jā.eñge jo sailāb likhe jā.eñge
shayad ab rudad-e-hunar mein aise bab likhe jaenge
samne dariya bahta hoga log sarab likhe jaenge
aaj to KHair andheri raaten aur azab likhe jaenge
ek din apni galiyon mein bhi kuchh mahtab likhe jaenge
palken yunhi phul chunengi aankhen yunhi rang banengi
dast-e-dua se dida-e-nam tak KHwab hi KHwab likhe jaenge
nadim aankhen soch rahi hain kal tariKH sawal karegi
itna qaht-e-mohabbat kyun tha kya asbab likhe jaenge
yunhi lahu-luhan nahin ham, tum bhi chalo is rah ko dekho
jo kanTe qadmon mein chubhenge sare gulab likhe jaenge
kabhi kabhi ye dhyan aata hai apne baad bhi duniya hogi
lekin kaisi duniya hogi kaun se bab likhe jaenge
roz-e-azal diwar pe meri barish ke harfon se likha tha
tere nam likhe jaenge jo sailab likhe jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.