shayad ho use dard ka ehsas ilahi
shāyad ho use dard kā ehsās ilāhī
kuchh der jo baiThe vo mire paas ilāhī
ab un se bhalā kaisī koī aas ilāhī
jin ko na vafā kā ho koī paas ilāhī
mujh ko mire mahbūb kā dīdār karā de
ab toḌ de nazroñ kā ye upvās ilāhī
ham ne hī nibhāyā hai yahāñ 'ahd-e-vafā bhī
ham ko hī milī dard kī mīrās ilāhī
hoñToñ se lagāyā hai mire yaar ne shāyad
ḳhushbū se mo'attar hai ye qirtās ilāhī
jab zāviya nazroñ kā badal kar use dekhā
patthar se vo lagne lagā almās ilāhī
ab buġhz hai nafrat hai 'adāvat hai diloñ meñ
ab miltā nahīñ logoñ meñ iḳhlās ilāhī
sahrā meñ bhaTaktā hai 'asar' qais ke mānind
miltī hī nahīñ yaar kī bū-bās ilāhī
shayad ho use dard ka ehsas ilahi
kuchh der jo baiThe wo mere pas ilahi
ab un se bhala kaisi koi aas ilahi
jin ko na wafa ka ho koi pas ilahi
mujh ko mere mahbub ka didar kara de
ab toD de nazron ka ye upwas ilahi
hum ne hi nibhaya hai yahan 'ahd-e-wafa bhi
hum ko hi mili dard ki miras ilahi
honTon se lagaya hai mere yar ne shayad
KHushbu se mo'attar hai ye qirtas ilahi
jab zawiya nazron ka badal kar use dekha
patthar se wo lagne laga almas ilahi
ab bughz hai nafrat hai 'adawat hai dilon mein
ab milta nahin logon mein iKHlas ilahi
sahra mein bhaTakta hai 'asar' qais ke manind
milti hi nahin yar ki bu-bas ilahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.