shayad jo zahr shahr mein tha kaam kar gaya
shāyad jo zahr shahr meñ thā kaam kar gayā
ḳhud se mile hue bhī zamāna guzar gayā
pāgal koī ik ik se yahī pūchhtā thā kal
ham sab kā ek ghar thā batāo kidhar gayā
sūraj ko janm de ke jhulasne ke vāste
ThanDī sī ret chhoḌ samundar utar gayā
sochā thā apne dil meñ sañvāruñgā maiñ tumheñ
tum aa.e tum ko dekh ke maiñ ḳhud bikhar gayā
jab tak maiñ zindagī ko na samjhā thā jī liyā
jab aa ga.ī samajh meñ to be-maut mar gayā
har shaam kitne dard se dekhā hai ye 'hasan'
sūraj kā ḳhuun pī ke samundar nikhar gayā
shayad jo zahr shahr mein tha kaam kar gaya
KHud se mile hue bhi zamana guzar gaya
pagal koi ek ek se yahi puchhta tha kal
hum sab ka ek ghar tha batao kidhar gaya
suraj ko janm de ke jhulasne ke waste
ThanDi si ret chhoD samundar utar gaya
socha tha apne dil mein sanwarunga main tumhein
tum aae tum ko dekh ke main KHud bikhar gaya
jab tak main zindagi ko na samjha tha ji liya
jab aa gai samajh mein to be-maut mar gaya
har sham kitne dard se dekha hai ye 'hasan'
suraj ka KHun pi ke samundar nikhar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.