shab bhali thi na din bura tha koi
shab bhalī thī na din burā thā koī
jaisā jī ko tire lagā thā koī
ashk the kirchiyāñ thiiñ āñkheñ thiiñ
aa.ine se umañD paḌā thā koī
TuuT kar kis ne kis ko chāhā thā
kis kā malba uThā rahā thā koī
laakh āñchal havā ke haath meñ the
sar-barahna magar khaḌā thā koī
apne hī sar meñ Dālne ke liye
ḳhaak apnī uḌā rahā thā koī
apnī marzī se kaun qatl huā
apnī marzī se kab jiyā thā koī
hashr barpā thā mere dil meñ 'najīb'
khiḌkiyāñ kholne lagā thā koī
shab bhali thi na din bura tha koi
jaisa ji ko tere laga tha koi
ashk the kirchiyan thin aankhen thin
aaine se umanD paDa tha koi
TuT kar kis ne kis ko chaha tha
kis ka malba uTha raha tha koi
lakh aanchal hawa ke hath mein the
sar-barahna magar khaDa tha koi
apne hi sar mein Dalne ke liye
KHak apni uDa raha tha koi
apni marzi se kaun qatl hua
apni marzi se kab jiya tha koi
hashr barpa tha mere dil mein 'najib'
khiDkiyan kholne laga tha koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.