shab Dhali utar gaya phir ishq ka nasha mera
shab Dhalī utar gayā phir ishq kā nasha mirā
kyā huā vo der tak usī ko DhūñDhnā mirā
uljhaneñ tamām umr zaat meñ rahīñ mire
kaash mere haath phir lage koī sirā mirā
mujh se vo sukūn māñgtā hai ye bhī din hai ek
jo tamām umr hī banā rahā ḳhudā mirā
zindagī jo jī ga.ī udāsiyoñ se thī bharī
ye pairahan bhī thā ġhamoñ ke thaan se silā mirā
marsiya jo paḌh sakā na laash par mirī abhī
vo gā rahā hai mahfiloñ meñ ban ke āshnā mirā
saañs luuñ to yuuñ lage koī gunāh kar diyā
ab to koī faisla sunā hī de ḳhudā mirā
shab Dhali utar gaya phir ishq ka nasha mera
kya hua wo der tak usi ko DhunDhna mera
uljhanen tamam umr zat mein rahin mere
kash mere hath phir lage koi sira mera
mujh se wo sukun mangta hai ye bhi din hai ek
jo tamam umr hi bana raha KHuda mera
zindagi jo ji gai udasiyon se thi bhari
ye pairahan bhi tha ghamon ke than se sila mera
marsiya jo paDh saka na lash par meri abhi
wo ga raha hai mahfilon mein ban ke aashna mera
sans lun to yun lage koi gunah kar diya
ab to koi faisla suna hi de KHuda mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.