shab-e-alam jo teri yaad ke charagh jale
shab-e-alam jo tirī yaad ke charāġh jale
ham apne aap se tā-der ro.e mil ke gale
tamām lutf thā āzadiyoñ se vābasta
ab is ke baa'd nasheman hazār baar jale
idhar hai manzil-e-jānāñ udhar haiñ dār-o-rasan
ġham-e-hayāt batā ab koī kidhar ko chale
ab aur jaane ġham-e-ishq kyā dukhā.egā
kisī ne naam liyā us kā aur ashk Dhale
qadam qadam pe haiñ kāñTe qadam qadam pe sharār
rah-e-vafā meñ zarā aadmī sañbhal ke chale
hamārā jazba-e-ta.amīr miT nahīñ saktā
chaman meñ apnā nasheman hazār baar chale
nishān us kā miTā.egā kyā koī 'shāriq'
qadam-qadam pe jo naqsh-e-vafā banā ke chale
shab-e-alam jo teri yaad ke charagh jale
hum apne aap se ta-der roe mil ke gale
tamam lutf tha aazadiyon se wabasta
ab is ke ba'd nasheman hazar bar jale
idhar hai manzil-e-jaanan udhar hain dar-o-rasan
gham-e-hayat bata ab koi kidhar ko chale
ab aur jaane gham-e-ishq kya dukhaega
kisi ne nam liya us ka aur ashk Dhale
qadam qadam pe hain kanTe qadam qadam pe sharar
rah-e-wafa mein zara aadmi sanbhal ke chale
hamara jazba-e-tamir miT nahin sakta
chaman mein apna nasheman hazar bar chale
nishan us ka miTaega kya koi 'shaariq'
qadam-qadam pe jo naqsh-e-wafa bana ke chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.