shab-e-firaq ka mara hun dil-girafta hun
shab-e-firāq kā maarā huuñ dil-girafta huuñ
charāġh-e-tīrah-shabī huuñ maiñ jaltā rahtā huuñ
kabhī kā maar diyā hotā zindagī ne mujhe
ye shukr hai ki maiñ zinda-dilī se zinda huuñ
koī fareb-e-tamannā na jalva aur na ḳhayāl
dayār-e-ishq meñ tanhā thā aur tanhā huuñ
zamāna merī hañsī ko ḳhushī samajhtā hai
maiñ muskurā ke jo ḳhud ko fareb detā huuñ
na sun sakoge ab ash.ār mere ai logo
qalam ko ḳhuuñ meñ Dubo kar maiñ sher kahtā huuñ
ye inqalāb hai kal maiñ ne rah dikhā.ī thī
aur aaj raah meñ ḳhud hī bhaTaktā phirtā huuñ
jadīdiyat kā huuñ shaidā rivāyatoñ kā amiiñ
maiñ imtizāj meñ donoñ ke sher kahtā huuñ
jise na dostī mahbūb aur na pās-e-vafā
us aadmī se hamesha gurez kartā huuñ
'shafīq' mujh ko na ilzām deñ azal se hī
ḳhatā-sarisht hai merī ḳhatā kā putlā huuñ
shab-e-firaq ka mara hun dil-girafta hun
charagh-e-tirah-shabi hun main jalta rahta hun
kabhi ka mar diya hota zindagi ne mujhe
ye shukr hai ki main zinda-dili se zinda hun
koi fareb-e-tamanna na jalwa aur na KHayal
dayar-e-ishq mein tanha tha aur tanha hun
zamana meri hansi ko KHushi samajhta hai
main muskura ke jo KHud ko fareb deta hun
na sun sakoge ab ashaar mere ai logo
qalam ko KHun mein Dubo kar main sher kahta hun
ye inqalab hai kal main ne rah dikhai thi
aur aaj rah mein KHud hi bhaTakta phirta hun
jadidiyat ka hun shaida riwayaton ka amin
main imtizaj mein donon ke sher kahta hun
jise na dosti mahbub aur na pas-e-wafa
us aadmi se hamesha gurez karta hun
'shafiq' mujh ko na ilzam den azal se hi
KHata-sarisht hai meri KHata ka putla hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.