shab-e-firaq ke bare mein aur kya kahiye
shab-e-firāq ke baare meñ aur kyā kahiye
kisī faqīr kī maqbūl badduā kahiye
har ek shaḳhs hai apnī hī zaat meñ gum-sum
koī batā.e kise kis kā mubtalā kahiye
is e'tiqād ke sadqe na kyoñ bhalā jaa.eñ
jo shaḳhs but bhī nahīñ hai use ḳhudā kahiye
ajal kī samt sabhī log haiñ ravāñ ya.anī
use bhī zindagī kā koī rāsta kahiye
kisī kā aks-e-haqīqī nahīñ dikhātā hai
is aa.ine ko bhalā kaise aa.ina kahiye
maiñ apne taur se kartā huuñ baat dil kī 'ḳhizar'
adā-e-ġhair se kyā dil kā mudda.ā kahiye
shab-e-firaq ke bare mein aur kya kahiye
kisi faqir ki maqbul baddua kahiye
har ek shaKHs hai apni hi zat mein gum-sum
koi batae kise kis ka mubtala kahiye
is e'tiqad ke sadqe na kyon bhala jaen
jo shaKHs but bhi nahin hai use KHuda kahiye
ajal ki samt sabhi log hain rawan yani
use bhi zindagi ka koi rasta kahiye
kisi ka aks-e-haqiqi nahin dikhata hai
is aaine ko bhala kaise aaina kahiye
main apne taur se karta hun baat dil ki 'KHizar'
ada-e-ghair se kya dil ka muddaa kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.