shab-e-firaq kuchh aisa tha iztirab ka rang
shab-e-firāq kuchh aisā thā iztirāb kā rang
shadīd surḳh thā mujh ḳhānumāñ-ḳharāb kā rang
maiñ us kī yaad meñ pahroñ bahut udaas rahā
bahut 'ajīb thā ḳhvāboñ meñ ek ḳhvāb kā rang
vo ab ḳhudā.ī kā e'lān karne vaale the
nikhar ke aa hī gayā āḳhirash janāb kā rang
kisī bhī taur nahīñ Thiik husn kā nashsha
huzūr Dhaltā hai Dhal jā.egā shabāb kā rang
tamām raat isī kaifiyat meñ guzrī hai
hamārī aañkh meñ jaise lahū ho aab kā rang
shab-e-firaq kuchh aisa tha iztirab ka rang
shadid surKH tha mujh KHanuman-KHarab ka rang
main us ki yaad mein pahron bahut udas raha
bahut 'ajib tha KHwabon mein ek KHwab ka rang
wo ab KHudai ka e'lan karne wale the
nikhar ke aa hi gaya aaKHirash janab ka rang
kisi bhi taur nahin Thik husn ka nashsha
huzur Dhalta hai Dhal jaega shabab ka rang
tamam raat isi kaifiyat mein guzri hai
hamari aankh mein jaise lahu ho aab ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.