shab-e-firaq mein jazbaat yun pareshan hain
shab-e-firāq meñ jazbāt yuuñ pareshāñ haiñ
fazā-e-dasht meñ jaise ġhubār kā aalam
chaman-parast huuñ maiñ merī zindagī hai yahī
ḳhizāñ ke daur meñ bhī hai bahār kā aalam
maiñ apnā haath baḌhāte hue bhī Dartā huuñ
gul-e-shagufta meñ pinhāñ hai ḳhaar kā aalam
ye daur vo hai ki yaksāñ hai sab kī nazroñ meñ
ġham-e-habīb o ġham-e-intizār kā aalam
ḳhayāl-e-yār qayāmat se kam nahīñ 'shabbīr'
miTā rahā hai mujhe intizār kā aalam
shab-e-firaq mein jazbaat yun pareshan hain
faza-e-dasht mein jaise ghubar ka aalam
chaman-parast hun main meri zindagi hai yahi
KHizan ke daur mein bhi hai bahaar ka aalam
main apna hath baDhate hue bhi Darta hun
gul-e-shagufta mein pinhan hai KHar ka aalam
ye daur wo hai ki yaksan hai sab ki nazron mein
gham-e-habib o gham-e-intizar ka aalam
KHayal-e-yar qayamat se kam nahin 'shabbir'
miTa raha hai mujhe intizar ka aalam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.