shab-e-firaq mein phir yaad aa raha hai koi
shab-e-firāq meñ phir yaad aa rahā hai koī
añdherī raat meñ dīpak jalā rahā hai koī
ḳhudā hī jaane ḳhushī bhī mujhe milegī kabhī
ki mere so.e hue ġham jagā hā hai koī
hamāre kamre meñ jhāñkā thā āftāb zarā
ki daf.atan abhī parde girā rahā hai koī
charāġh ghar ke na raushan karo ḳhudā ke liye
charāġh jo bhī haiñ raushan bujhā rahā hai koī
zarā sī pī thī mai-e-ishq aur itnā surūr
qadam qadam pe 'kamal' laḌkhaḌā rahā hai koī
shab-e-firaq mein phir yaad aa raha hai koi
andheri raat mein dipak jala raha hai koi
KHuda hi jaane KHushi bhi mujhe milegi kabhi
ki mere soe hue gham jaga ha hai koi
hamare kamre mein jhanka tha aaftab zara
ki dafatan abhi parde gira raha hai koi
charagh ghar ke na raushan karo KHuda ke liye
charagh jo bhi hain raushan bujha raha hai koi
zara si pi thi mai-e-ishq aur itna surur
qadam qadam pe 'kamal' laDkhaDa raha hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.