shab-e-firaq mein roya kiya sahar ke liye
shab-e-firaq mein roya kiya sahar ke liye
Munshi Shiv Parshad Wahbi
MORE BYMunshi Shiv Parshad Wahbi
shab-e-firāq meñ royā kiyā sahar ke liye
taras taras ga.iiñ aaheñ mirī asar ke liye
ilāhī ḳhair se us kī ḳhabar mile mujh ko
chhurī hai tez vahāñ murġh-e-nāma-bar ke liye
bajā hai bose kā gar niil ban gayā ruḳh par
yahī to daaġh munāsib thā us qamar ke liye
marīz-e-hijr ne dī jaan terī ġhaflat se
na aaya ek din o be-ḳhabar ḳhabar ke liye
ziyāda fart-e-nazākat se sargirāñ vo hue
lagā liyā kabhī sandal jo dard-e-sar ke liye
payām us but-e-shīrīñ-adā kā jab laayā
baḌhā ke haath qadam ham ne nāma-bar ke liye
jo mehr-e-hashr mire dāġh-e-dil kā phāhā ho
ravā hai abr kā rūmāl chashm-e-tar ke liye
ḳhayāl-e-zulf meñ din-rāt ham haiñ sargardāñ
azal se thā yahī saudā hamāre sar ke liye
duā.eñ māñgnā hoñ jitnī maañg le 'vahbī'
khulā hai bāb-e-ijābat abhī asar ke liye
shab-e-firaq mein roya kiya sahar ke liye
taras taras gain aahen meri asar ke liye
ilahi KHair se us ki KHabar mile mujh ko
chhuri hai tez wahan murgh-e-nama-bar ke liye
baja hai bose ka gar nil ban gaya ruKH par
yahi to dagh munasib tha us qamar ke liye
mariz-e-hijr ne di jaan teri ghaflat se
na aaya ek din o be-KHabar KHabar ke liye
ziyaada fart-e-nazakat se sargiran wo hue
laga liya kabhi sandal jo dard-e-sar ke liye
payam us but-e-shirin-ada ka jab laya
baDha ke hath qadam hum ne nama-bar ke liye
jo mehr-e-hashr mere dagh-e-dil ka phaha ho
rawa hai abr ka rumal chashm-e-tar ke liye
KHayal-e-zulf mein din-raat hum hain sargardan
azal se tha yahi sauda hamare sar ke liye
duaen mangna hon jitni mang le 'wahbi'
khula hai bab-e-ijabat abhi asar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.