shab-e-firaq mein ye dil se guftugu kya hai
shab-e-firāq meñ ye dil se guftugū kyā hai
marī umiid haiñ vo un kī aarzū kyā hai
rageñ tamām badan kī idhar ko khīñchtī haiñ
kisī kā haath qarīb-e-rag-e-gulū kyā hai
shikasta-e-ābla-e-pā ne aabrū rakh lī
khulā na haal ki paanī hai kyā lahū kyā hai
maiñ apnī maut pe raazī vo laash uThāne par
ab aage dekhnā hai marzī-e-adū kyā hai
ye kis ko aa.ine meñ aap dekhe jaate haiñ
jahāñ meñ aap se bhī koī ḳhūb-rū kyā hai
sabab bhī pūchh lo un kī zidoñ se ai 'jāved'
rulā rulā ke hañsā.eñ ye un kī ḳhū kyā hai
shab-e-firaq mein ye dil se guftugu kya hai
mari umid hain wo un ki aarzu kya hai
ragen tamam badan ki idhar ko khinchti hain
kisi ka hath qarib-e-rag-e-gulu kya hai
shikasta-e-abla-e-pa ne aabru rakh li
khula na haal ki pani hai kya lahu kya hai
main apni maut pe raazi wo lash uThane par
ab aage dekhna hai marzi-e-adu kya hai
ye kis ko aaine mein aap dekhe jate hain
jahan mein aap se bhi koi KHub-ru kya hai
sabab bhi puchh lo un ki zidon se ai 'jawed'
rula rula ke hansaen ye un ki KHu kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.