shab-e-firaq thi hum zikr-e-yar karte rahe
shab-e-firāq thī ham zikr-e-yār karte rahe
ḳhizāñ se aḳhz nashāt-e-bahār karte rahe
nikal ke phuul se bū ram na kar sake jaise
ham apne aap se aise farār karte rahe
kabhī savāb bhī sarzad huā to be-manshā
kabhī gunāh bhī be-iḳhtiyār karte rahe
jo baat bar-sar-e-mimbar na kar sakā vaa.iz
tumhāre dost vo bālā-e-dār karte rahe
baḌe vasūq se duniyā fareb detī rahī
baḌe ḳhulūs se ham e.atibār karte rahe
tamām umr tirī aarzū rahī ham ko
tamām umr tirā intizār karte rahe
kahāñ ga.e vo nadīmān-e-ḳhās jo 'shaukat'
hamesha ahd-e-vafā ustuvār karte rahe
shab-e-firaq thi hum zikr-e-yar karte rahe
KHizan se aKHz nashat-e-bahaar karte rahe
nikal ke phul se bu ram na kar sake jaise
hum apne aap se aise farar karte rahe
kabhi sawab bhi sarzad hua to be-mansha
kabhi gunah bhi be-iKHtiyar karte rahe
jo baat bar-sar-e-mimbar na kar saka waiz
tumhaare dost wo baala-e-dar karte rahe
baDe wasuq se duniya fareb deti rahi
baDe KHulus se hum eatibar karte rahe
tamam umr teri aarzu rahi hum ko
tamam umr tera intizar karte rahe
kahan gae wo nadiman-e-KHas jo 'shaukat'
hamesha ahd-e-wafa ustuwar karte rahe
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 235)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.