shab-e-furqat ki tariki mein shamil hai ghubar apna
shab-e-furqat ki tariki mein shamil hai ghubar apna
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
shab-e-furqat kī tārīkī meñ shāmil hai ġhubār apnā
isī sahrā meñ khoyā ishq ne ahd-e-bahār apnā
miTā gulshan to uTh kar ḳhāk-e-gul se ham kahāñ jaate
jahāñ gulshan thā pahle ab vahīñ par hai mazār apnā
tire jalvoñ meñ gum hoñ yā tirī furqat meñ miT jaa.eñ
ye ham samjhe hue haiñ hai fanā anjām-e-kār apnā
hujūm-e-yās meñ begānagī kā shikva kis se ho
na ham apne na dil apnā na jaañ apnī na baar apnā
kahāñ ab vo surūr-e-daur-e-avval bazm-e-hastī meñ
jise kahte haiñ duniyā hai vo ai 'maikash' ḳhumār apnā
shab-e-furqat ki tariki mein shamil hai ghubar apna
isi sahra mein khoya ishq ne ahd-e-bahaar apna
miTa gulshan to uTh kar KHak-e-gul se hum kahan jate
jahan gulshan tha pahle ab wahin par hai mazar apna
tere jalwon mein gum hon ya teri furqat mein miT jaen
ye hum samjhe hue hain hai fana anjam-e-kar apna
hujum-e-yas mein beganagi ka shikwa kis se ho
na hum apne na dil apna na jaan apni na bar apna
kahan ab wo surur-e-daur-e-awwal bazm-e-hasti mein
jise kahte hain duniya hai wo ai 'maikash' KHumar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.