shab-e-furqat ki tirgi tauba
shab-e-furqat kī tīrgī tauba
allāh allāh ye zindagī tauba
uljhaneñ de ga.e haiñ hañs hañs kar
un kā andāz-e-sādgī tauba
vo chale aa.eñ jab gulistāñ meñ
kah uTheñ gul ye tāzgī tauba
ḳhum-ba-ḳhum pī ke bhī na bujh paa.ī
tauba merī ye tishnagī tauba
ye bhī fan aazmā ke dekh liyā
kaam aa.ī na bandagī tauba
shab-e-furqat ki tirgi tauba
allah allah ye zindagi tauba
uljhanen de gae hain hans hans kar
un ka andaz-e-sadgi tauba
wo chale aaen jab gulistan mein
kah uThen gul ye tazgi tauba
KHum-ba-KHum pi ke bhi na bujh pai
tauba meri ye tishnagi tauba
ye bhi fan aazma ke dekh liya
kaam aai na bandagi tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.