shab-e-gham hai koi aansu ufuq par jalwa-gar kyun ho
shab-e-ġham hai koī aañsū ufuq par jalva-gar kyuuñ ho
sahar hone se pahle chaak dāmān-e-sahar kyuuñ ho
nazar marhūn-e-jalva hai na marhūn-e-nazar jalva
jahāñ ho aap kā jalva vahāñ merī nazar kyuuñ ho
nigāh-o-dil meñ jitnā fāsla ho vajh-e-qurbat hai
nigāh-o-dil meñ jitnā fāsla hai muḳhtasar kyuuñ ho
jahāñ kāñTe na hoñ gul hoñ jahāñ patthar na hoñ sar hoñ
vo koī ghar to ho saktā hai lekin merā ghar kyuuñ ho
jahāñ maiñ huuñ vahāñ sab ke garebāñ chaak haiñ 'nashtar'
kisī ko intizār-e-mausam-e-dīvāna-gar kyuuñ ho
shab-e-gham hai koi aansu ufuq par jalwa-gar kyun ho
sahar hone se pahle chaak daman-e-sahar kyun ho
nazar marhun-e-jalwa hai na marhun-e-nazar jalwa
jahan ho aap ka jalwa wahan meri nazar kyun ho
nigah-o-dil mein jitna fasla ho wajh-e-qurbat hai
nigah-o-dil mein jitna fasla hai muKHtasar kyun ho
jahan kanTe na hon gul hon jahan patthar na hon sar hon
wo koi ghar to ho sakta hai lekin mera ghar kyun ho
jahan main hun wahan sab ke gareban chaak hain 'nashtar'
kisi ko intizar-e-mausam-e-diwana-gar kyun ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.