shab-e-gham ki rawani mein raha hun
shab-e-ġham kī ravānī meñ rahā huuñ
musalsal rā.igānī meñ rahā huuñ
kisī kī yaad aañsū ban ga.ī thī
maiñ saarī raat paanī meñ rahā huuñ
utar aaya mire ghar māh-e-kāmil
sahar tak mezbānī meñ rahā huuñ
maiñ ik jazba mohabbat naam merā
azal se har kahānī meñ rahā huuñ
ka.ī sahrā kiye gulzār maiñ ne
diloñ kī bāġhbānī meñ rahā huuñ
maiñ apnī muskurāhaT saath le kar
kisī kī nauha-ḳhvānī meñ rahā huuñ
shab-e-gham ki rawani mein raha hun
musalsal raigani mein raha hun
kisi ki yaad aansu ban gai thi
main sari raat pani mein raha hun
utar aaya mere ghar mah-e-kaamil
sahar tak mezbani mein raha hun
main ek jazba mohabbat nam mera
azal se har kahani mein raha hun
kai sahra kiye gulzar main ne
dilon ki baghbani mein raha hun
main apni muskurahaT sath le kar
kisi ki nauha-KHwani mein raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.