shab-e-gham ki zulfon ke sae baDha den
shab-e-ġham kī zulfoñ ke saa.e baḌhā deñ
kaho to sitāroñ kī sham.eñ bujhā deñ
masīhā-sifat ho jalā do nazar se
marīzān-e-ulfat bhī dād-e-davā deñ
jo tum iztirāb-e-mohabbat miTā do
tumheñ be-qarār-e-mohabbat duā deñ
mohabbat ke dastūr sab se nirāle
hamīñ kaam aa.eñ hamīñ ko sazā deñ
tumhīñ ne pilā kar to be-ḳhud kiyā thā
tumheñ chāhiye thā hameñ aasrā deñ
hameñ zahr kā jaam amrit hai 'āsī'
magar shart hai aap ḳhud hī pilā deñ
shab-e-gham ki zulfon ke sae baDha den
kaho to sitaron ki shamen bujha den
masiha-sifat ho jala do nazar se
marizan-e-ulfat bhi dad-e-dawa den
jo tum iztirab-e-mohabbat miTa do
tumhein be-qarar-e-mohabbat dua den
mohabbat ke dastur sab se nirale
hamin kaam aaen hamin ko saza den
tumhin ne pila kar to be-KHud kiya tha
tumhein chahiye tha hamein aasra den
hamein zahr ka jam amrit hai 'asi'
magar shart hai aap KHud hi pila den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.