shab-e-gham ko sahar karna paDega
shab-e-ġham ko sahar karnā paḌegā
qayāmat tak safar karnā paḌegā
savā neze pe sūraj aa gayā hai
ye din bhī ab basar karnā paḌegā
ye āñkheñ sīpiyāñ haiñ is liye bhī
har aañsū ko guhar karnā paḌegā
bahut luuTā hai dil ko āgahī ne
ise ab be-ḳhabar karnā paḌegā
kahāñ tak dar-ba-dar phirte raheñge
tumhāre dil meñ ghar karnā paḌegā
sitāre kaj-ravī par aa ga.e haiñ
jahāñ zer-o-zabar karnā paḌegā
mohabbat kaam hī aisā hai 'shahzād'
na chāheñge magar karnā paḌegā
shab-e-gham ko sahar karna paDega
qayamat tak safar karna paDega
sawa neze pe suraj aa gaya hai
ye din bhi ab basar karna paDega
ye aankhen sipiyan hain is liye bhi
har aansu ko guhar karna paDega
bahut luTa hai dil ko aagahi ne
ise ab be-KHabar karna paDega
kahan tak dar-ba-dar phirte rahenge
tumhaare dil mein ghar karna paDega
sitare kaj-rawi par aa gae hain
jahan zer-o-zabar karna paDega
mohabbat kaam hi aisa hai 'shahzad'
na chahenge magar karna paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.