shab-e-gham mein bhi muskuraate hain
shab-e-ġham meñ bhī muskurāte haiñ
āñsuoñ ke diye jalāte haiñ
bin-bulā.e kahāñ vo aate haiñ
aur bulā.eñ to ruuTh jaate haiñ
ahl-e-gulshan kā ye junūñ dekho
aap apnā chaman jalāte haiñ
tere dar se jabīñ ko Takrā kar
apnī taqdīr ham banāte haiñ
un safīnoñ ko kaun ubhār sake
bahr-e-ġham meñ jo Duub jaate haiñ
ḳhaar dete haiñ vo 'ḳhalish' ham ko
jin kī rāhoñ meñ gul bichhāte haiñ
shab-e-gham mein bhi muskuraate hain
aansuon ke diye jalate hain
bin-bulae kahan wo aate hain
aur bulaen to ruTh jate hain
ahl-e-gulshan ka ye junun dekho
aap apna chaman jalate hain
tere dar se jabin ko Takra kar
apni taqdir hum banate hain
un safinon ko kaun ubhaar sake
bahr-e-gham mein jo Dub jate hain
KHar dete hain wo 'KHalish' hum ko
jin ki rahon mein gul bichhate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.