shab-e-gham tu hi bata kaise wo ghar jate hain
shab-e-ġham tū hī batā kaise vo ghar jaate haiñ
jin ke mausam bhī bahāroñ meñ bikhar jaate haiñ
ik tarāshe hue patthar se umīdeñ kar ke
kaisī vahshat hai ki ham jaañ se guzar jaate haiñ
ham mizājoñ ke haiñ nāzuk ki faqat jhoñke se
zard pattoñ kī tarah TuuT ke gir jaate haiñ
jab bhī guzre hue lamhoñ kā ḳhayāl aatā hai
kitne mausam mirī āñkhoñ meñ utar jaate haiñ
maiñ to dīvāna huuñ is shahr-e-vafā meñ lekin
jaane kyoñ log mirī aah se Dar jaate haiñ
zindagī terī kaThin rāhoñ pe chalte chalte
ham bhī kyā log haiñ be-maut hī mar jaate haiñ
ham tire shahr meñ lab tishna liye phirte haiñ
ab to lahje bhī yahāñ zahr se bhar jaate haiñ
ab nahīñ ahd-e-vafā kā bhī bharosa 'barham'
zarf khulte haiñ to phir dost bhī mar jaate haiñ
shab-e-gham tu hi bata kaise wo ghar jate hain
jin ke mausam bhi bahaaron mein bikhar jate hain
ek tarashe hue patthar se umiden kar ke
kaisi wahshat hai ki hum jaan se guzar jate hain
hum mizajon ke hain nazuk ki faqat jhonke se
zard patton ki tarah TuT ke gir jate hain
jab bhi guzre hue lamhon ka KHayal aata hai
kitne mausam meri aankhon mein utar jate hain
main to diwana hun is shahr-e-wafa mein lekin
jaane kyon log meri aah se Dar jate hain
zindagi teri kaThin rahon pe chalte chalte
hum bhi kya log hain be-maut hi mar jate hain
hum tere shahr mein lab tishna liye phirte hain
ab to lahje bhi yahan zahr se bhar jate hain
ab nahin ahd-e-wafa ka bhi bharosa 'barham'
zarf khulte hain to phir dost bhi mar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.