shab-e-hijran ko bhagane ki dua kaunsi hai
shab-e-hijrāñ ko bhagāne kī duā kaunsī hai
nahīñ Taltī kisī sūrat ye balā kaunsī hai
zahr dene meñ jhijak kyoñ hai tujhe chārāgar
dūsrī aur mire dukh kī davā kaunsī hai
dil hī dil meñ jo hañsā karte ho chupke chupke
baat maiñ bhī to sunūñ aisī bhalā kaunsī hai
merī āñkhoñ meñ hai saaqī kī javānī kā nasha
mujh se pūchho ki mai-e-hosh-rubā kaunsī hai
maiñ sazā-vār-e-mohabbat huuñ miTā de mujh ko
kuchh ḳhatā terī bhī nikle to sazā kaunsī hai
āj-kal mujh se ḳhafā rahte haiñ ġhairoñ se ḳhush
mere baare meñ ḳhudā jaane havā kaunsī hai
'ḳhizr' ne raah batā dī mujhe but-ḳhāne kī
pūchhā thā manzil-e-irfān-e-ḳhudā kaunsī hai
shab-e-hijran ko bhagane ki dua kaunsi hai
nahin Talti kisi surat ye bala kaunsi hai
zahr dene mein jhijak kyon hai tujhe chaaragar
dusri aur mere dukh ki dawa kaunsi hai
dil hi dil mein jo hansa karte ho chupke chupke
baat main bhi to sunun aisi bhala kaunsi hai
meri aankhon mein hai saqi ki jawani ka nasha
mujh se puchho ki mai-e-hosh-ruba kaunsi hai
main saza-war-e-mohabbat hun miTa de mujh ko
kuchh KHata teri bhi nikle to saza kaunsi hai
aaj-kal mujh se KHafa rahte hain ghairon se KHush
mere bare mein KHuda jaane hawa kaunsi hai
'KHizr' ne rah bata di mujhe but-KHane ki
puchha tha manzil-e-irfan-e-KHuda kaunsi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.