shab-e-siyah ka aanchal sarak chuka hai bahut
shab-e-siyāh kā āñchal sarak chukā hai bahut
añdherī raat meñ jugnū chamak chukā hai bahut
ra.īs-e-shahr mirā aur imtihān na le
ki mere sabr kā sāġhar chhalak chukā hai bahut
na kaam aa.egī ab sham-e-dil kī tābānī
ta.alluqāt kā sho.ala bhaḌak chukā hai bahut
chale bhī aao ki mil kar manā.eñ jashn-e-bahār
hamāre shauq kā ġhuncha chaTak chukā hai bahut
tumhāre rishte kī ab parvarish nahīñ mumkin
ki mere dil meñ ye kāñTā khaTak chukā hai bahut
milā na kuchh bhī use merī ḳhāmiyoñ kā surāġh
vo merī zaat kī miTTī phaTak chukā hai bahut
batā de manzil-e-maqsūd kā nishāñ us ko
ki apnī raah se insāñ bhaTak chukā hai bahut
usūl-e-mai-kashī 'ma.asūm' ko sikhā.eñ na aap
vo pī chukā hai bahut aur bahak chukā hai bahut
shab-e-siyah ka aanchal sarak chuka hai bahut
andheri raat mein jugnu chamak chuka hai bahut
rais-e-shahr mera aur imtihan na le
ki mere sabr ka saghar chhalak chuka hai bahut
na kaam aaegi ab sham-e-dil ki tabani
talluqat ka shoala bhaDak chuka hai bahut
chale bhi aao ki mil kar manaen jashn-e-bahaar
hamare shauq ka ghuncha chaTak chuka hai bahut
tumhaare rishte ki ab parwarish nahin mumkin
ki mere dil mein ye kanTa khaTak chuka hai bahut
mila na kuchh bhi use meri KHamiyon ka suragh
wo meri zat ki miTTi phaTak chuka hai bahut
bata de manzil-e-maqsud ka nishan us ko
ki apni rah se insan bhaTak chuka hai bahut
usul-e-mai-kashi 'masum' ko sikhaen na aap
wo pi chuka hai bahut aur bahak chuka hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.