shab-e-siyah se jo istifada karte hain
shab-e-siyāh se jo istifāda karte haiñ
vahī charāġhoñ kā mātam ziyāda karte haiñ
diloñ kā dard kahāñ jaam meñ utartā hai
harīf-e-vaqt ko ham ġharq-e-bāda karte haiñ
purānī talḳhiyāñ dāman bahut pakaḌtī haiñ
kabhī nayā jo koī ham irāda karte haiñ
paḌī thī dil kī zamīñ jaane kab se be-masraf
ab us meñ yādoñ ke but īstāda karte haiñ
ajiib daur hai ye jis meñ saare dānish-var
diloñ ko tañg makāñ ko kushāda karte haiñ
ye āsmān-e-vatan kyuuñ ridā hamārī hai
ham is zamīn ko kaise labāda karte haiñ
shab-e-siyah se jo istifada karte hain
wahi charaghon ka matam ziyaada karte hain
dilon ka dard kahan jam mein utarta hai
harif-e-waqt ko hum gharq-e-baada karte hain
purani talKHiyan daman bahut pakaDti hain
kabhi naya jo koi hum irada karte hain
paDi thi dil ki zamin jaane kab se be-masraf
ab us mein yaadon ke but istada karte hain
ajib daur hai ye jis mein sare danish-war
dilon ko tang makan ko kushada karte hain
ye aasman-e-watan kyun rida hamari hai
hum is zamin ko kaise labaada karte hain
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 341)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.