shab-e-tar se na ghabra meri nau-bahaar anjum
shab-e-tār se na ghabrā mirī nau-bahār anjum
ki sahar ko dekhnā hai hameñ nuur kā talātum
abhī zindagī kī jannat ġham-e-zindagī meñ hai gum
kahīñ ārizoñ pe shabnam kahīñ nīlgūñ tabassum
tirī yaad jām-o-mīnā tirī yaad māh-o-anjum
ki har ek talḳhī-e-ġham tirī yaad meñ huī gum
vahāñ gardisheñ rukī haiñ vahāñ zindagī milī hai
jahāñ jam ga.iiñ nigāheñ jahāñ muskurā.e ham tum
vahī raushnī se zid hai abhī zulmatoñ ke dil ko
abhī aur saḳht hogā shab-o-roz kā tasādum
vo nigāh-o-dil kī jannat vo dimāġh kī tahārat
vo tamām rang-o-nik.hat vo tamām-tar tarannum
ye fazā-e-ġham ghulegī kabhī ishq kī chamak se
abhī sogvār huuñ maiñ abhī sogvār ho tum
abhī ehtiyāt hī se mire dil ke paas aanā
mirī jān-e-nau-bahārāñ mirī māya-e-tabassum
kisī yād-e-dil-rubā kā ye karam rahā hai 'saifī'
ki sulā ga.ī hai dil ko kabhī āb-o-tāb-e-anjum
shab-e-tar se na ghabra meri nau-bahaar anjum
ki sahar ko dekhna hai hamein nur ka talatum
abhi zindagi ki jannat gham-e-zindagi mein hai gum
kahin aarizon pe shabnam kahin nilgun tabassum
teri yaad jam-o-mina teri yaad mah-o-anjum
ki har ek talKHi-e-gham teri yaad mein hui gum
wahan gardishen ruki hain wahan zindagi mili hai
jahan jam gain nigahen jahan muskurae hum tum
wahi raushni se zid hai abhi zulmaton ke dil ko
abhi aur saKHt hoga shab-o-roz ka tasadum
wo nigah-o-dil ki jannat wo dimagh ki tahaarat
wo tamam rang-o-nikhat wo tamam-tar tarannum
ye faza-e-gham ghulegi kabhi ishq ki chamak se
abhi sogwar hun main abhi sogwar ho tum
abhi ehtiyat hi se mere dil ke pas aana
meri jaan-e-nau-bahaaran meri maya-e-tabassum
kisi yaad-e-dil-ruba ka ye karam raha hai 'saifi'
ki sula gai hai dil ko kabhi aab-o-tab-e-anjum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.