shab-e-tanhai mein jo sinchta tha dard-e-pinhan ko
shab-e-tanhai mein jo sinchta tha dard-e-pinhan ko
Dr. Habib ur Rehman
MORE BYDr. Habib ur Rehman
shab-e-tanhā.ī meñ jo sīñchtā thā dard-e-pinhāñ ko
sajātā hai badan se apne ab gor-e-ġharībāñ ko
rahā dasht-e-junūñ kā hī musāfir maiñ 'adam meñ bhī
uThā jo roz-e-mahshar to phaTā paayā garebāñ ko
sabab rāhat kā hai nā-āgahī us nā-ramīda kī
abhī ummīd-e-istiḳhlās hai jis said-e-nāzāñ ko
sabab jaanā mire yāroñ ne ashkoñ ke bahāne kā
kiyā shādāb abr-e-dīda ne jab kisht-e-vīrāñ ko
tamāshā-gāh-e-hairat ho gayā ā.īna-ḳhāna kal
vo sūrat dekhte the apnī aur ham chashm-e-hairāñ ko
nahīñ bāb-e-ijābat gar khulā to ho gila kyūñkar
rasā honā sikhāyā hī nahīñ jab āh-e-sozāñ ko
na pās-e-vaz' hotā to na rahte muztarib yuuñ ham
sukūñ paayā kiyā jab chaak ham ne phir garebāñ ko
junūñ-angez nazreñ kar rahī haiñ sab ko dīvāna
koī to ho ki samjhā.e nigāh-e-fitna-sāmāñ ko
phaTā jaatā hai dil us vaqt rashk-e-lāla-kārī se
jigar meñ karte haiñ paivast jab vo tīr-e-mizhgāñ ko
gul-e-rusvā.ī phir naḳhl-e-tamannā par khilā hai ik
suno 'sālik' chalā hai phir tavāf-e-kū-e-jānāñ ko
shab-e-tanhai mein jo sinchta tha dard-e-pinhan ko
sajata hai badan se apne ab gor-e-ghariban ko
raha dasht-e-junun ka hi musafir main 'adam mein bhi
uTha jo roz-e-mahshar to phaTa paya gareban ko
sabab rahat ka hai na-agahi us na-ramida ki
abhi ummid-e-istiKHlas hai jis said-e-nazan ko
sabab jaana mere yaron ne ashkon ke bahane ka
kiya shadab abr-e-dida ne jab kisht-e-viran ko
tamasha-gah-e-hairat ho gaya aaina-KHana kal
wo surat dekhte the apni aur hum chashm-e-hairan ko
nahin bab-e-ijabat gar khula to ho gila kyunkar
rasa hona sikhaya hi nahin jab aah-e-sozan ko
na pas-e-waz' hota to na rahte muztarib yun hum
sukun paya kiya jab chaak hum ne phir gareban ko
junun-angez nazren kar rahi hain sab ko diwana
koi to ho ki samjhae nigah-e-fitna-saman ko
phaTa jata hai dil us waqt rashk-e-lala-kari se
jigar mein karte hain paiwast jab wo tir-e-mizhgan ko
gul-e-ruswai phir naKHl-e-tamanna par khila hai ek
suno 'salik' chala hai phir tawaf-e-ku-e-jaanan ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.