shab-e-wada hui aaKHir ajal ki aaj ban aai
shab-e-wada hui aaKHir ajal ki aaj ban aai
Siraj Mir Khan Sahab Sahar
MORE BYSiraj Mir Khan Sahab Sahar
shab-e-va.ada huī āḳhir ajal kī aaj ban aa.ī
bayāz-e-sub.h le kar saath kāfūr-o-kafan aa.ī
vo jab taqrīr karte haiñ to muñh se phuul jhaḌte haiñ
laboñ par baat kyā aa.ī bahār-e-yāsman aa.ī
ġham o shādī se aalam ik tamāshā-gāh-e-ibrat hai
kisī ghar se gayā murda kisī ghar meñ dul.han aa.ī
zamāna dekh kar mansūr ko bartāv karnā thā
kahī haq baat kyoñ jo naubat-e-dār-o-rasan aa.ī
qafas merā bachā kar rakh havā ke ruḳh se ai gul-chīñ
phaḌak kar jaan de dūñgā agar bu-e-chaman aa.ī
asar hai vāda-e-dīdār kā hangāma-e-mahshar
tumhīñ ko dekhne ye anjuman kī anjuman aa.ī
na chhūTā ba.ad-e-murdan bhī ta'alluq sehr-e-duniyā se
musāfir ko manātī duur tak yād-e-vatan aa.ī
shab-e-wada hui aaKHir ajal ki aaj ban aai
bayaz-e-subh le kar sath kafur-o-kafan aai
wo jab taqrir karte hain to munh se phul jhaDte hain
labon par baat kya aai bahaar-e-yasman aai
gham o shadi se aalam ek tamasha-gah-e-ibrat hai
kisi ghar se gaya murda kisi ghar mein dulhan aai
zamana dekh kar mansur ko bartaw karna tha
kahi haq baat kyon jo naubat-e-dar-o-rasan aai
qafas mera bacha kar rakh hawa ke ruKH se ai gul-chin
phaDak kar jaan de dunga agar bu-e-chaman aai
asar hai wada-e-didar ka hangama-e-mahshar
tumhin ko dekhne ye anjuman ki anjuman aai
na chhuTa baad-e-murdan bhi ta'alluq sehr-e-duniya se
musafir ko manati dur tak yaad-e-watan aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.